Welcome, Guest. Please login or register.

Login with username, password and session length




September 27, 2024, 11:00:24 AM
Funfani.com - Spreading Fun All Over!COOL STOPPoetry/Shero ShayariZakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain
Pages: [1]   Go Down
Print
Author Topic: Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain  (Read 788 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
ahkil
Super Elite member
*****

Karma: 4
Offline Offline

Posts: 1504


« on: October 15, 2007, 11:52:47 PM »

Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain


Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zkham se baha lahu fir bhi muskurayen hain,

Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka

Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajayen hain

Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Guzarish unki aankhe nam na ho meri,

Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,

Kosish mai hoton ne kitne ghav khayen hain,
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.

Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,

Meri tarah uski kismat adhuri na ho,

Shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain,
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.

Report to moderator   Logged
Pages: [1]   Go Up
Print

Jump to: