ahkil
|
|
« on: October 12, 2007, 02:03:37 AM » |
|
Afreen Afreen
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi Afreen afreen Afreen afreen Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nashi Afreen afreen Afreen afreen
Aisaa dekha nahi khubsoorat koi Jism jaise Ajanta ki murat koi Jism jaise nigahon pe jadoo koi Jism nagma koi, jism khusboo koi Jism jaise machalti hui raagini Jism jaise mehakti hui chandni Jism jaise hai khilta hua ek chaman Jism jaise hai suraj ki pehli kiran Jism tarsha hua, dilkash-o-dilnashi Sandali sandali Makhmali makhmali
Afreen afreen Afreen afreen
Aankhen dekhi to main dekhta reh gaya Jaam do aur dono hi do aatisha Aankhen ya maikade ke do baab hain Aankhen unko kahoon, ya kahoon khwaab hai Aankhen neechi hui to hayaa ban gayi Aankhen oonchi hui to dua ban gayi Aankhen uth kar jukhi to adaa ban gayi Aankhen jhuk kar uthi to fazaa ban gayi Aankhen jin mein hain qaid aasmaan-o-zamin Nargisi nargisi Surmayi surmayi
|