Welcome, Guest. Please login or register.

Login with username, password and session length




June 21, 2024, 02:30:05 PM
Funfani.com - Spreading Fun All Over!ENTERTAINMENT JUNCTIONJokes / Funny MessagesIs kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye
Pages: [1]   Go Down
Print
Author Topic: Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye  (Read 1732 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
Vatsal
Administrator
FF Trailblazer
*****

Karma: 109
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 2218



WWW
« on: May 03, 2006, 08:46:19 AM »

“Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye?
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,,,,
Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye!!!!!!!!!”


“Aankho ki zubaan WOH samaj nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,,,,,
Apni bebasi kis tarah kahe hum,
Koi hai jiske bina hum reh nahi patE!!!!!!!!”


“Fiza me mahekati ek shaam ho tum,
Pyaar me chalakata ek jaam ho tum,,,,,,
Sine me chupaye firate he hum yaad tumhari,
Meri zindgi ka dusara naam ho tuM!!!!!!!!!!!!”


“Dil hi dil me hum unse pyaar karate he,
Chup-chap unki mahobbat ka intezaar karate hai,
Jin raho par unka chalana mushkil hai,
Unhi raho pe hum unka intezaar karate haIIII!!!!!!!!!!!!!!!”


“Jaye janaza jo unki gali se to unke dar par thehra Dena,
Haath jo uthe dua ke liye to, muh se nakaab utha dena,
Itna bhi na kar sake koi, to maut ki khabar suna dena,
Wajah puche koi maut ki, to mahobbat bata Dena!!!!!!!!!!!!!!!”


“Laut jati hai duniya gam hamara dekhakar,
Jaise laut jaati hai lahere kinara dekhkar,,,,,
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere aasu dekhkaRRRRR!!!!!!!”

“Ek hi din me begaane ho Gaye ..
kal tak haqeekat thhe, ab afsaane ho Gaye ...
shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai,
ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye...”

“Ek hi shaher me rehte hain, phir bhi mil nahin paate hain ...
tumse to achchhe tumhaare khwaab hain, Jo aankh band karte hi chale aate hain...”

“Ek Din Bahaaron Ke Phool Murjhaa Jaayenge,
Jab Bhule Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamaari Dosti Ka,
Jab Door, Bahut Door Hum Tumse Chale Jaayenge”

“Ehsaan doston pe jataane nahin hotey,
karz dosti me chukaane nahin hotey,
bas salaamat rahe dosti humaari...
yeh woh rishtey hain jo kabhi puraane nahin hotey...”

“Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai ..
gham ke sagar me is Kadar kho gayi hai ...
tum AA jao wapas ye guzaarish hai meri
shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai ..”

“Zamaane se nahin to tanhaayee se darta hun ..
pyaar se nahin to ruswayee se darta hun ...
Milne ki umang to bahut hoti hai dil me,
magar Milne ke baad Teri judaai se darta hun...”

“Zindagi nahin humein doston se pyaari,
doston pe haazir hai jaan hamari
aankhon me hamari aansoo hai to kya,
jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari...”

“Zulfon KO failaa kar, jab koi mehbooba kabar par roti hai
to mehsoos hota hai ki maut bhi kitni haseen hoti hai... “

“jab dosti ki dastaan waqt sunaayega,
humko bhi koi shaqs yaad aayega,
tab bhool jaayenge zindagi ke ghamon ko ...
jab aapke saath guzara zamaana yaad aayega ...”

“Jaane kitne hi armaan aansoo-on me dhal jaate hain
hota hai kabhi yun bhi ki tabassum se lab chhil jaate hain ..”

“Tasveer ban Gaya hoon, tasveer dekhkar ...
rooh khil gayi hai yaar ki taqdeer dekhkar...”

“Tumne chaha nahin warna haalaat badal sakte thhe
mere aansoo tumhaari aankhon se nikal sakte thhe
tum to thahre rahe jheel ke paani ki tarah
dariya banke bahte to bahut door nikal sakte the”

“Dil se dil badi mushkil se milte hain ...
toofan me sahil badi mushkil se milte hain ...
yun to mil jaate hain hazaaron magar,
aap/hum jaise dost badi mushkil se milte hain ...”

“Dawaa bhi kaam Na aaye, koi dua Na lage ...
mere khuda kissiko pyaar ki hawa Na lage...”


“dard kaafi hai bekhudi ke liye ...
maut lazmi hai zindagi ke liye ..”

“Dil se khayaal-e-yaar ko ttaale huve to hain
hum jaan de ke dil ko sambhaale huve to hain”

“Dikhaai detaa agar jahaanmein ..
kyon dhoondte usko aasmaan mein
kitaab tumne nayi uttha li ..
rukey thhe hum kal ki daastaan mein”

“Tum milo Na milo, Milne ka gham nahi, Tum paas se guzar jao, Yeh Milne se kam nahi, Maana ke tumhain, Humari qadar nahi, Magar UN se pooch, Jinhain hasil Hum nahi”


“Khushbo ki tarah aap ke pas bikhar jayenge,
Saas banker aapke dil me utar jayenge,
Zara mehsoos karne ki koshish to kijiye,
Dur hokar bhi aapke paas nazar aayengEEE…!


“Kisi ne kuch bataya tak nahi; Baar baar pata puch ne ke baad
Aasuo ka samunder mila muje ; magar Janaaza mere uthne ke baad
Muje itni khwaish de de ki ; har khwaish pe dum nikale
Dil ke sabhi armaan pure kar de ; ki jaan bhi nikale to kam nikalEEEE…..!!!!!!!”



“Mohobbat ko naam majburi diya,
Kambaqt haste haste chut Gaye
Ginati gairo ki karte rahe hum
Dekha to bus apne hi loot gayeEEEE…...”


“Matlab ki is duniya me,
Kaun kisi ka hota hai.
Wohi dhokha deta hai,
Jis par pura bharosa hota haIIIII….!!!!!!!!!”


“Woh mausam woh bahaar bhi uske samne kam thi,
Uske saath guzara woh waqt, who fiza bhi num thi.
Par kya kare aye zaalim hum ye bhul hi gaye,
Apne hatho me woh Mohobbat ki lakeer hi kam thiIIIII…….!!!!!!!!!!”


“Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har naakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Kya hua agar hum unkho pa Na sake,
Sirf pane ka matlab pyaar nahi hotA!!!!!!!!”



“Dard kafi hai, bekhudi ke liye,
Maut zaruri he zindgi ke liye.
Kaun marata hai kisi ke liye,
Lekin hum to zinda hai sirf aapki mohobbat ke liyEE…….”


Mohobbat ke bazar me hamara bhi kuch naam,
Yaha pata nahi chalata kaun acha kaun badnaam he.
Subah unki yaad me unki yaad me sham he,
Yaha koi Kisi ka nahi, bus dil ki katl-e-aam hEEEEEE ………!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Report to moderator   Logged
Pages: [1]   Go Up
Print

Jump to: